Ramzan Mein Qiyam-ul-Lail (Taraweeh) Ki Fazilat

Hazrat Abu Huraira رضی اللہ عنہ se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya:

“Jo shakhs Ramadan ka qiyam (ibadat) imaan aur ikhlas ke saath kare, uske pichle gunaah maaf kar diye jate hain.” (Muttafaqun Alaih)

Namaz-e-Taraweeh Ki Ahmiyat aur Faiday:

Aap ﷺ ne farmaya:
“Qiyam-ul-Lail tum se pehle ke saleh aur naik logon ka mamool tha.”

Yeh ibadat na sirf gunahon ka kaffara banti hai balki jism ko bimariyon se bhi mehfooz rakhti hai. Ramadan me iski ahmiyat aur barakat aur bhi barh jati hai, khas tor par Laylatul Qadr jaisi azeem raaton me. Laylatul Qadr ki Dua parhne ka ajar bhi is hi mahine me bepanah barhta hai.

Jismani Faiday:

Aap ﷺ ne farmaya:
“Qiyam-ul-Lail tumhare jismon ko beemariyon se bachaata hai.”
Ye ibadat sirf roohani fawaid hi nahi balki jismani sehat ke liye bhi mufeed hai.

Jannat Mein Buland Martaba:

Hazrat Abu Malik Ashari رضی اللہ عنہ bayan farmaate hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
“Jannat mein kuch aise kamray hain jo itne shaffaf hain ke unka zaahir aur baatin nazar aata hai. Yeh kamray un logon ke liye hain jo narm guftagu karte hain, khana khilate hain, nafil rozay rakhte hain aur jab log so rahe hote hain to namaz-e-Tahajjud parhte hain.” (Al-Bayhaqi fi Shu’ab al-Iman – 3892)

Rasoolullah ﷺ Aur Namaz-e-Taraweeh:

Jaisa ke hadees shareef mein hai ke Nabi Kareem ﷺ aik raat aadhi raat ko masjid tashreef le gae, to logon ne aap ﷺ ke sath namaz parhi. Phir agle din subah logon ne is namaz ka zikar/tabsara kiya, to doosri raat aur log jama ho gae aur aap ﷺ ke sath namaz adaa ki. Teesri raat masjid logon se bhar gai aur Aap ﷺ tashreef laaye aur logon ke sath namaz ada ki.
Phir chouthi raat bohot zyada log jama ho gae, magar aap ﷺ tashreef nahi lae yahan tak ke Fajr ka waqt ho gaya. Phir aap ﷺ tashreef lae, namaz-e-Fajr ada ki aur farmaya:
“Main tumhare haal se waqif tha lekin mujhe ye darr tha ke kahen tum par raat ki namaz (Tahajjud/Taraweeh) farz na ho jae jise tum baad mein ada na kar pao.”

Ye waqia is baat ki daleel hai ke namaz-e-Taraweeh ki bohot fazilat hai, magar ye ummat par farz nahi ki gai ta k log isay asani se ada kar sakein.

Namaz-e-Taraweeh: Sawal aur Jawab

Isha ki namaz ke baad se lekar Fajr se pehle tak ka hai.

Nahi, dono aik hi namaz hai. Ramadan me isay Taraweeh kaha jata hai aur ghair Ramadan me Tahajjud.

Nahi, yeh Sunnat hai. Nabi ﷺ par farz thi, lekin ummat par nahi.

Sirf teen dafa.

Hazrat Abdullah ibn Umar aur Hazrat Aisha رضی اللہ عنہما se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne raat ke qiyam me 8 rakat aur 3 Witr padhe, yani total 11 rakat.

Hazrat Umar Farooq رضی اللہ عنہ ke daur-e-khilafat me.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *