Dua Ki Fazilat, Ahmiyat aur Islam mein iska Maqam
Dua aik azeem ibadat hai jo bande ko apne Rab ke qareeb karti hai. Dua ke zariye hum apni hajatain, mushkilat, aur umeedain Allah ke huzoor pesh karte hain. Quran aur Hadees mein dua ki fazeelat aur iski barkat ke bare mein bohot se dalail mojood hain. Allah Ta’ala ne apne bandon ko dua maangne ki baar baar takeed ki hai aur iski qabooliyat ka wada farmaya hai.
Quran Majeed Mein Dua Ki Fazilat
Allah Ta’ala Ka Farman:
وَقَالَ رَبُّكُمُ ٱدْعُونِىٓ أَسْتَجِبْ لَكُمْ ۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ يَسْتَكْبِرُونَ عَنْ عِبَادَتِى سَيَدْخُلُونَ جَهَنَّمَ دَاخِرِينَ
Ghaafir: 60)Aur tumhare Rab ne farmaya: Mujh se dua karo, main tumhari dua qabool karunga. Yaqeenan jo log meri ibadat se takabbur karte hain wo zaleel hokar jahannum mein dakhil honge.
اور تمہارے رب نے فرمایا: مجھ سے دعا کرو، میں تمہاری دعا قبول کروں گا۔ بے شک جو لوگ میری عبادت سے سرکشی کرتے ہیں وہ ذلیل ہو کر جہنم میں داخل ہوں گے۔
And your Lord said: Call upon Me, I will respond to you. Indeed, those who are too arrogant to worship Me will enter Hell in humiliation.
Dusri Jaga Farmaya:
ٱدْعُوا۟ رَبَّكُمْ تَضَرُّعًۭا وَخُفْيَةً ۚ إِنَّهُۥ لَا يُحِبُّ ٱلْمُعْتَدِينَ
(Al-A’raf: 55)Apne Rab ko aajizi aur aahistagi se pukaro, beshak Allah had se barhne walon ko pasand nahi karta.
اپنے رب کو عاجزی اور آہستگی سے پکارو، بے شک اللہ حد سے بڑھنے والوں کو پسند نہیں کرتا۔
Call upon your Lord in humility and privately. Indeed, He does not like the transgressors.
Allah Ta’ala Har Haal Mein Dua Qabool Karta Hai
وَإِذَا سَأَلَكَ عِبَادِى عَنِّى فَإِنِّى قَرِيبٌۭ أُجِيبُ دَعْوَةَ ٱلدَّاعِ إِذَا دَعَانِ ۖ فَلْيَسْتَجِيبُوا۟ لِى وَلْيُؤْمِنُوا۟ بِى لَعَلَّهُمْ يَرْشُدُونَ
(Al-Baqarah: 186)
Aur jab mere banday tujh se mere baare mein sawal karein to (keh do) main qareeb hoon, main pukarne wale ki pukar ko qabool karta hoon jab wo mujhe pukare. To chahiye ke wo bhi meri baat maan lain aur mujh par iman le aayein, taake wo hidayat paa sakein.
اور جب میرے بندے تم سے میرے بارے میں سوال کریں تو (کہہ دو) میں قریب ہوں، میں پکارنے والے کی پکار کو قبول کرتا ہوں جب وہ مجھے پکارتا ہے۔ تو چاہیے کہ وہ بھی میری بات مانیں اور مجھ پر ایمان لائیں تاکہ وہ ہدایت پا سکیں۔
And when My servants ask you concerning Me, indeed I am near. I respond to the invocation of the supplicant when he calls upon Me. So let them respond to Me and believe in Me that they may be guided.
أَمَّن يُجِيبُ ٱلْمُضْطَرَّ إِذَا دَعَاهُ وَيَكْشِفُ ٱلسُّوٓءَ وَيَجْعَلُكُمْ خُلَفَآءَ ٱلْأَرْضِ ۗ أَءِلَٰهٌۭ مَّعَ ٱللَّهِ ۚ قَلِيلًۭا مَّا تَذَكَّرُونَ
(An-Naml: 62)
Kaun hai jo beqaraar ki dua ko jab wo pukare qabool karta hai aur burai door karta hai? Aur tumhein zameen mein khalifa banata hai? Kya Allah ke saath koi aur bhi maabood hai? Tum bohot kam naseehat lete ho.
کون ہے جو بے قرار کی پکار کو جب وہ پکارتا ہے قبول کرتا ہے اور تکلیف دور کرتا ہے؟ اور تمہیں زمین میں خلیفہ بناتا ہے؟ کیا اللہ کے ساتھ کوئی اور معبود ہے؟ تم بہت کم نصیحت حاصل کرتے ہو۔
Is He [not best] who responds to the desperate one when he calls upon Him and removes evil and makes you inheritors of the earth? Is there a deity with Allah? Little do you remember.
Dua Ki Fazilat Ahadees Ki Roshni Mein
Nabi Kareem ﷺ ne dua ko ibadat ki asal qarar diya hai aur iske azeem faiday bayan kiye hain.
عن النعمان بن بشير رضي الله عنه قال: قال رسول الله ﷺ: الدُّعَاءُ هُوَ العِبَادَةُ، ثُمَّ قَرَأَ: وَقَالَ رَبُّكُمُ ٱدْعُونِىٓ أَسْتَجِبْ لَكُمْ
(Tirmizi: 3372, Abu Dawood: 1479)
Hazrat Noman Bin Basheer (R.A) se riwayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:
“Dua hi ibadat hai.” Phir aap ﷺ ne ye ayat tilawat farmai:
“Aur tumhare Rab ne farmaya: Mujh se dua karo, main tumhari dua qabool karunga.”
:حضرت نعمان بن بشیر (رضی اللہ عنہ) سے روایت ہے کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا
دعا ہی عبادت ہے۔ پھر آپ ﷺ نے یہ آیت تلاوت فرمائی
“اور تمہارے رب نے فرمایا: مجھ سے دعا کرو، میں تمہاری دعا قبول کروں گا۔”
Narrated by Nu’man bin Bashir (RA): The Messenger of Allah ﷺ said:
“Dua is worship.” Then he recited the verse:
“And your Lord said: Call upon Me, I will respond to you.”
عن أبي هريرة رضي الله عنه قال: قال رسول الله ﷺ: ليس شيءٌ أكرَمَ على اللهِ من الدعاءِ
(Tirmizi: 3370, Ibn Majah: 3829)
Hazrat Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:
“Allah ke nazdeek dua se ziada koi cheez mukarram nahi hai.”
حضرت ابو ہریرہ (رضی اللہ عنہ) سے روایت ہے کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا
اللہ کے نزدیک دعا سے زیادہ کوئی چیز مکرم (قیمتی) نہیں ہے۔
Narrated by Abu Huraira (RA): The Messenger of Allah ﷺ said:
“There is nothing more honorable to Allah than supplication.”
Dua Sirf Allah Se Maangni Chahiye
Dua bhi ibadat ki ek qisam hai, aur jaise baqi tamam ibadat sirf Allah ke liye makhsoos hain, waise hi dua bhi sirf Allah se karni chahiye. Kisi aur se madad maangna, ya kisi foot shuda buzurg ya wali ko pukarna, Islam mein jaiz nahi.
إِن تَدْعُوهُمْ لَا يَسْمَعُوا۟ دُعَآءَكُمْ وَلَوْ سَمِعُوا۟ مَا ٱسْتَجَابُوا۟ لَكُمْ وَيَوْمَ ٱلْقِيَٰمَةِ يَكْفُرُونَ بِشِرْكِكُمْ وَلَا يُنَبِّئُكَ مِثْلُ خَبِيرٍۢ
(Fatir: 14)
Agar tum unhein pukaro to wo tumhari dua nahi sunenge, aur agar sun bhi lein to tumhein jawab nahi denge. Aur qayamat ke din wo tumhare shirk ka inkar kar denge. Aur tumhein koi bhi aise baat nahi bata sakta jo khabar rakhne wala bata sake.
اگر تم انہیں پکارو تو وہ تمہاری دعا نہیں سنیں گے، اور اگر سن بھی لیں تو تمہیں جواب نہیں دیں گے۔ اور قیامت کے دن وہ تمہارے شرک کا انکار کر دیں گے، اور تمہیں کوئی بھی ایسا نہیں بتا سکتا جیسا کہ پوری خبر رکھنے والا (اللہ) بتاتا ہے۔”
If you invoke them, they will not hear your supplication; and if they heard, they would not respond to you. And on the Day of Resurrection, they will deny your association. And none can inform you like the One who is Acquainted [with all matters].
Conclusion
Islam mein dua ki bohot zyada fazeelat aur ahmiyat hai. Yeh Allah ke saath ta’alluq mazboot karne ka zariya hai aur mushkilat ke hal ka ek taqatwar tareeqa bhi. Allah Ta’ala ne humein har hal mein dua maangne ka hukm diya hai aur iski qabooliyat ka wada farmaya hai.
Humein chahiye ke hum har lamha dua maangne ki aadat dalain aur apne Rab se apne masail ke hal ki dua karein.
Kuch Khas Duain Jo Hr Musalman ko Yad Honi Chahye:
- Sone Ki Dua
- Subah Uthne Ki Dua
- Iftari ki Dua
- Ayatul Kursi
- Azan Ke Bad Ki Dua
- Safar Ki Dua
- Witr Ki Dua
- Shabe Qadr Ki Dua
- Waldain k Liye Dua
- Qarz Se Nijat Ki Dua
Other Categories