Muhammad (PBUH) Ki Mehboob Duain – Fazilat aur Barkat
Ye 11 duaein woh qeemati moti hain jo har momin ke dil ko sukoon, zindagi ko roshni, aur aakhirat ko kamiyabi ki naveed deti hain. Ye woh kalmaat hain jo hamare Nabi Kareem ﷺ ki mahboob duaein thin. Aisi duaein jo bande ko Allah se jorti hain, uske dil ko mazbooti ata karti hain aur zindagi ke har mor par rehmat aur barkat ka zariya banti hain. Chahe dil ki sakhti ho, rizq ki tangi, gunahon ki maafi, ya achay ikhlaq ki talab, ye duaein har haal mein hamari rehnumai karti hain. Jo koi inko apna mamool bana le, uski duniya bhi sanwar jaye gi aur aakhirat bhi. Allah humein in mubarak duaon ko parhne aur unpar amal karne ki taufeeq ata farmaaye. Ameen!
1. Dil ko Deen par Sabit Rakhne ki Dua
دل کو دین پر ثابت رکھنے کی دعا
يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِىْ عَلٰی دِينِكَ
Ya Muqallibal Quloob, thabbit qalbi ‘ala deenik.
اے دلوں کو پھیرنے والے! میرے دل کو اپنے دین پر مضبوطی سے قائم کر اور قائم رکھ۔
Ae dilon ko pherne wale! Mere dil ko apne deen par mazbooti se qaim kar aur qaim rakh.
2. Hisab Aasan Hone ki Dua
حساب آسان ہونے کی دعا
اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا
Allahumma hasibni hisaban yaseeran.
اے اللّٰہ! قیامت کے دن میرا حساب آسانی سے ہو۔
Ae Allah! Qayamat ke din mera hisaab aasani se ho.
3. Buray Akhlaq, Nifaq aur Jhaghray se Bachne ki Dua
برے اخلاق، نفاق اور جھگڑے سے بچنے کی دعا
اَللّٰهُمَّ اِنِّيْۤ اَعُوْذُ بِكَ مِنَ الشِّقَاقِ وَالنِّفَاقِ وَسُوْۤءِ الْاَخْلاَقِ
Allahumma inni a’udhu bika minash-shiqaqi wannifaqi wasuu’il-akhlaq.
اے اللّٰہ! میں تیری پناہ مانگتا ہوں جھگڑے سے، دورُخی سے اور بدخُلقی سے۔
Ae Allah! Main teDuniya aur Aakhirat mein Maafi aur Aafiyat ki Dua
ri panah maangta hoon jhagray se, do rukhi se aur bad khulqi se.
4. Nafa Bakhsh Ilm, Pakiza Rizq aur Maqbool Amal ki Dua
نفع بخش علم، پاکیزہ رزق اور مقبول عمل کی دعا
اَللّٰهُمَّ اِنِّيْۤ اَسْأَلُكَ عِلْمًا نَّافِعًا وَّرِزْقًا طَيِّبًا وَّعَمَلًا مُّتَقَبَّلًا
Allahumma Inni As’aluka ‘Ilman Naafi’an, Wa Rizqan Tayyiban, Wa ‘Amalan Mutaqabbala.
اے اللّٰہ! میں تجھ سے نافع علم، پاکیزہ رزق اور مقبول عمل کا سوال کرتا ہوں۔
Ae Allah! Main tujh se nafi dene wala ilm, pakeeza rizq aur maqbool amal ka sawal karta hoon.
5.Duniya aur Aakhirat mein Maafi aur Aafiyat ki Dua
دنیا اور آخرت میں معافی اور عافیت کی دعا
اَللّٰهُمَّ اِنِّيْۤ أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالْاٰخِرَةِ
Allahumma Inni As’alukal ‘Afwa Wal-‘Afiyata Fid-Dunya Wal-Aakhirah.
اے اللّٰہ! میں تجھ سے مانگتا ہوں، بخشش اور سلامتی دُنیا اور آخرت میں۔
Aey Allah! Main tujh se maangta hoon, bakhshish aur salaamati duniya aur aakhirat mein.
6. Hidayat, Parhezgari, Pak Damani aur Istaghna ki Dua
ہدایت، پرہیزگاری، پاک دامنی اور استغنا کی دعا
اَللّٰهُمَّ اِنِّيْۤ أَسْأَلُكَ الْهُدٰى وَالتُّقٰى وَالْعَفَافَ وَالْغِنٰى
Allahumma Inni As’alukal Huda Wat-Tuqa Wal-‘Afafa Wal-Ghina.
اے اللّٰہ! میں تجھ سے ہدایت، خدا ترسی، پاک دامنی اور استغنا مانگتا ہوں۔
Aey Allah! Main tujh se hidayat, khuda tarsi, paak damani aur istaghna maangta hoon.
7. Achi Zindagi aur Achi Maut ki Dua
اچھی زندگی اور اچھی موت کی دعا
اَللّٰهُمَّ اِنِّيْۤ اَسْأَلُكَ عِيْشَةً نَّقِيَّةً وَّمِيْتَةً سَوِيَّةً
Allahumma Inni As’aluka ‘Iishatan Naqiyyatan Wa Mii’tatan Sawiyyatan.
اے اللّٰہ! میں تجھ سے پاکیزہ زندگی اور اچھی موت مانگتا ہوں۔
Ae Allah! Main tujh se pakeeza zindagi aur achi maut ka sawal karta hoon.
8. Duniya aur Aakhirat mein Bhalai aur Ruswai se Nijat ki Dua
دنیا اور آخرت میں بھلائی اور رسوائی سے نجات کی دعا
اَللّٰهُمَّ أَحْسِنْ عَاقِبَتَنَا فِي الْاُمُوْرِ كُلِّهَا وَاَجِرْنَا مِنْ خِزْيِ الدُّنْيَا وَالْاٰخِرَةِ
Allahumma Ahsin ‘Aqibatana Fiil-Umuri Kulliha Wa Ajirna Min Khizyi-Dunya Wal-Aakhirah.
اے اللّٰہ! ہمارے تمام معاملات کا انجام بہتر فرما اور ہمیں دنیا و آخرت کی رسوائی سے بچا۔
Ae Allah! Hamare tamam maamlat ka behtareen anjaam farma aur hamein duniya aur aakhirat ki ruswai se bacha.
9. Maghfirat, Rehmat, Aafiyat aur Rizq ki Dua
مغفرت، رحمت، عافیت اور رزق کی دعا
ْاَللّٰهُمَّ اغْفِرْ لِيْ وَارْحَمْنِيْ وَعَافِنِيْ وَارْزُقْنِي
Allahumma Ighfir Li Warhamni Wa ‘Aafini Warzuqni.
اے اللّٰہ! مجھے بخش دے، مجھ پر رحم فرما، مجھے عافیت اور رزق عطا فرما۔
Ae Allah! Mujhe bakhsh de, mujh par reham farma, mujhe aafiyat aur rizq ata farma.
10. Rizq ke Darwazay Khulne ki Dua
رزق کے دروازے کھلنے کی دعا
اَللّٰهُمَّ افْتَحْ لَنَۤا أَبْوَابَ رَحْمَتِكَ وَسَهِّلْ لَنَۤا اَبَوَابَ رِزْقِكَ
Allahumma Iftah Lana Abwaba Rahmatika Wa Sahhil Lana Abwaba Rizqik.
اے اللّٰہ! ہمارے لیے اپنی رحمت کے دروازے کھول دے اور ہمارے لیے اپنے رزق کے راستے آسان فرما۔
Ae Allah! Hamare liye apni rehmat ke darwazay khol de aur hamare liye apne rizq ke raste asaan farma.
11. Burhapay aur Khatmay ke Waqt Kushadgi ki Dua
بڑھاپے اور خاتمے کے وقت کشادگی کی دعا
ْاَللّٰهُمَّ اجْعَلْ اَوْسَعَ رِزْقِكَ عَلَيَّ عِنْدَ كِبَرِ سِنِّيْ وَانْقِطَاعِ عُمُرِي
Allahumma Aj‘al Ausa‘a Rizqika ‘Alayya ‘Inda Kibar Sinni Wa Inqita‘i ‘Umri.
اے اللّٰہ! میرے رزق میں سب سے زیادہ وسعت میرے بڑھاپے اور میرے خاتمے کے وقت پر عطا فرما۔
Ae Allah! Mere rizq mein sab se zyada kushadgi mere burhapay aur mere inteqal ke waqt par ata farma.
Ye 11 duaein sirf alfaaz nahi, balki ek momin ki zindagi ka noor hain, Maghfirat aur Aafiyat ki chahat ho, Hidayat aur Taqwa ka talabgaar dil, ya Duniya aur Aakhirat ki Behtari ki justajoo, ye duaein har moqa par rehnumai karti hain.
Har dua ek naya darwaza kholti hai, kabhi Rizq ki Farakhi ka, kabhi Achay Akhlaq aur nek amal ka, kabhi Jannat ki Rah dikhane ka. Ye woh kalmaat hain jo humari zindagi ko sawar sakte hain, mushkilein door kar sakte hain, aur Allah ki rehmat ko humari taraf kheench sakte hain.
Agar hum chahte hain ke hamari zindagi mein barkat ho, gunahon ki maafi ho, aur akhirat roshan ho, to in duaoon ko sirf parhne tak mehdoood na rakhein, balki dil se maangein, yaqeen ke sath maangein, aur apni zindagi ka hissa bana lein. Kyunki jo Allah se sachay dil se maangta hai، wo kabhi khali nahi lauta. Allah humein in mubarak duaon ki barakat naseeb farmaye. Ameen!
Other Categories